Socha tujhko phool kahu mai

Socha tujhko phool kahu mai
Socha tujhko phool kahu mai

Laikin phool bikher jata hai,

Socha tujhko khowab kahun mai

Lekin khowab to mar jata hai,

Socha tujhko shaam kahun mai

Lekin shaam to dhal jati hai,

Or tu dhalti shaam nahi hai,

Tera koyi naam nahi hai
  

Jun, 03 2010     250 chars (2 sms)     2335 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
uski khushi ki khatir main ny kitnay ghum chupaey"MOHSIN".

agar main aik baar rota to uska shehr doob jata..
Us ki Bataein rothi rothi
Jis ka Lehja metha metha hei

Us ki Ankh samundar jaisi
jis ki Zaat mei sehra hai

Raat say Gehri soche us ki
Jis ka Rang Sunhera hai

Phool or Kaliyan Chunney wala
khud kion Bikhra Bikhra hai

Chand se Baatein karnay wala
Dekho kitna TANHA hai......
meri taqdeer may ruswayi agar likh di hay
phir mujhay apni muhabbat may hi ruswayi day
ruka howa maree ankh mai wo aik lamhaa .
bichray waqat kisi ko mera sada daina .
jo kar rahay hai mohabat to yaa dhayam rahay .
bohat kathan hai kisi ki yaad ko bhulla daina :)
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
Jis Shakhs K Liye Hum Ne Saari Hadain Tor Deen,

Us Shakhs Ne Humain Aaj Kaha Hai K Apni Had Mein Reh Kar Baat Karo.
Talluq Toot Jay Ga Mera Sarey Zamaney Se,
Ek teray rooth Jany Se,
TumHarey Sath Rehnay se Dil ko Taskin Milti he,
Bohat TakleeF hoti He TumHarey Door Janey Se..!!
dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam ThanDii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........
kash koi parhta meri nazron se pegham-e-mohabat''

umar guzri hai iqbal lafzon ko ashaar kartey...
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna Faraz ....!

Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti....!