Ishq ke izhaar mein

Ishq ke izhaar mein
Ishq ke izhaar mein har chand ruswaai to hai
Par karoon kya ab tabiyat aap par aayiee hai
  

Jun, 05 2010     91 chars (1 sms)     2408 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

na mila kar udass logo se..

husan tera bikhar na jaye kahen..
Meri Sab Koshishen Nakaam Thi Un Ko Manane Ki

Na Jane Kahan Say Seekhi Hain ZAALIM Ne Adayen ROOTH Jane Ki
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Har Kisi se Nazar milaya nahi karte,
Youn kisi se dil nahi karte,
bahut poochenge log tumse hamari baatein,
yeh dil ki baatein hai,har kisi ko bataya nahi karte
tum kya jano hafiz salman ki kadar faraz
Mehsoos Tu Hotay Hain Dikhai Nahi Deyti.
Yeh kaisi mohabbat hay...!?!?!




Suna tha hum nay laugo''n say...


Mohabbat cheez aisi hay...


Chhupaaey chhup nahee''n sakti...


Yeh aankho''n may chamakti hay...


Yeh chayhro''n pay damakti hay...


Yej lehjo''n may jhalakti hay...


Dilo''n tak ko ghulaati hay...


Lahoo eendhan banaati hay...


Ager yeh sach hay...?


To phir aakhir humai''n RAB say...


Bhala kaisi mohabbat hay...


Na aankho''n say jhalakti hay...


Na chayhro''n per damakti hay...


Na lehjo''n may sulagti hay...


Dilo''n ko aazmaati hay...


Na raato''n ko rulaati hay...


Yeh kaisi mohabbat hay...!?!?!
Tere sajde kahin tujhe kafir na kr den,
MOHSIN,

Tu jhukta kahin aur hai
AUR,
sochta kahin aur.....
Tere Hijra''n Sy
Ta''aluq Nibhane K Liye

HumNy is Saal Bhi
Jeenay Ki Kasam Khai Hy ...
aizharay piyar kernay lagi hain ankhay tari
mujhay bay-qarar kernay lagi hain ankhay tari

tum kuch kahho na kahoo lakin
sub kuch kahhaynay lagi hain ankhay tari