aaj phir un kaa saamanaa hogaa

aaj phir un kaa saamanaa hogaa
aaj phir un kaa saamanaa hogaa
kyaa pataa us ke baad kyaa hogaa
aasamaa.N ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kahaa sunaa hogaa
do qadam par sahii teraa kuuchaa
ye bhii sadiyo.n kaa faasalaa hogaa
ghar jalataa hai raushanii ke liye
ko_ii mujhasaa bhii dil jalaa hogaa
  

Jun, 01 2010     275 chars (2 sms)     2552 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Maangu Bas Unhe
Yeh Ibaadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
khof-e-raqabat say tujhey khawahish naa bataimdil ki,,,
sagar
mein jissay chaaho''n usay log bohat chahtay hain.
tohmatain nto lagti raheen roz he hum per""SAJID""

magar jo subsy haseen ilzam tha wo uska naam tha...
HAR KADAM PE AAPKA EHSAAS CHAHIYE,
MUJHE AAPKA SAATH APNE PAAS CHAHIYE,
KHUDA BHI RO PADE HAMARI JUDAI SE,
AISA EK RISHTA KHAAS CHAHIYE
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,GHANI-Ul-QADEER
sone ga zaroor
Zamee''n walo''n se ye keh kr falak se dhal gya suraj,

Ujaly bant deny se ujaala kam nahi hota!¿!
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho.
Kuch beete hue lamho se mulakat hui,
kuch tute hue sapno se baat hui.
Yyaad jo karne baithe un tamam yado ko
to apki hi yaado se shuruat hui.
Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi