Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...
~*~ woh...mujhe mila hota ~*~
aasmaaN ke malik say
do jahaN ke raziq say
aur kuch nahin chaha
sirf itna manga hai
pur-khuloos chahat ka
bay reya muhabbat ka
bay panaah rayazat ka
itna to sila hota
woh...mujhe mila hota
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Mohobbat hum b ker lain gay
Ye Ghalti tum b ker layna
Chalo tumhi se ker lain gay
kisi say tum b ker layna
tumhain hum Doost kahtay hain ,To Nadir Mashwara denge,
Mohobbat tum nay kerni hey.
! Suno Hume se ker layna ...!