Ab is se bhar k bhalan kia ho

Ab is se bhar k bhalan kia ho
Ab is se bhar k bhalan kia ho ehtiyaat-e-wafa,
Mai tere shehr se guzron, tujhe khaber na karon!

Wo aik pal ko dikhayai to de kahin Mohsin,
Mai jaan ganva ke bhi us pal ko mukhtasir na karoN!
  

May, 28 2010     195 chars (2 sms)     2763 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hr bar muqaddar ko dosh deina achi baat nhi"dost''

kbhi kbhi hum b hadd sy zayada maang laity hain.
Mat Lo Hamare Sabar Ka Imtehan Wafa Ka Naam Lekar

FARAZ

Ab To Jaan Chordo Uski 2 Bachon Ki Maa Hai Woh
Ik pahar din ka teri yaad mein guzar dete hain
Pura din us pahar k intzar mein guzar dete hain
Us pahar ko jete hai lamha lamha
Us pahar mein puri zindagi guzar dete hai
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Koshish

kal Chandni kitni Madhum thi
kal Raat b kitni Madhum thi
Kal Taarey kitne Chup chup thy
Kal Aankh b meri Num num thi
kal Aasmaa ne Phir se...
Dard ki Chaadar Taani thi...
Kal Har soo Bari Veyraani Thi
Kal Phir se Woo he Kahaani Thi..
Kal Shayad Mere Dil ne Tum ko..
Bhool Janey ki Thani thi...
Tere Bagair Bhi khaali nahi meri Raatai''n

hy Ek saya mere Saath Hm nasheen ki Tarah
aPn| sOOraT tU sAm,bHa|0 K k0| yE nA kAhy...!!


Di| bAd|ty hA|n tU cHehry B bAda| jAty hA|n
Ghazal son kar pareshan ho gaye kya
Kisi ke dehan main tum bhi kho gay kya
Yeh beygangi pehlay tu na thee
Kaho tum bhi kisi ke hogay kya
BARBAD KARNEY K AUR BHI RASTEY THEY FARAZ,
NA JANE UNHEN MOHABBAT KA HI KHAYAL Q AYA??
Kuch main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi rahi.
Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera

toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein samandar mera

kisi sehra mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera

bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

aakhiri jur''a-e-pur kaif ho shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega saagar mera