Sawal tu hy jawab tu hy.
Mohabbato''n ki kitaab tu hy.
Be-sabat jaha''n k rang saray.
Meri nazar mein shabaab tu hy.
Ye kainaat hy jis se roshan.
Aftab,taray,mehtaab tu hy.
Kabhi tou hota hy paas mere.
Kabhi chamakta saraab tu hy.
Phool,kaliyo''n ka khush-rung pairhen.
Khushbuo''n ka hijaab tu hy.
Tu meri khwahish,tu meri hasrat.
Meri aankho''n ka khwaab tu hy.
Nisaab-e-zindagi hy ishq.
Meri zindagi ka nisaab tu hy...
kisi k u bicharnay say
kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon
Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
Zindagi ki raho''n mai
Koi tumko yaad aaye
Tum usey bhula dena
Khwab aa k palko''n pe
Bheeg bheeg sa jaye
Aik damm mita dena
Warna laug samjhenge
Koi tumsey roothha hai
Aitebaar toota hai......
Maut mangte hain to zindgi khafa ho jati hai.
Zehar lete hai to wo b dava ho jati hai.
Tu hi bata aai mere dost kya karun,
jis ko b chahte hai bewafa ho jati ha.