Karo na Fikar agar wo

Karo na Fikar agar wo
Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../
  

Jun, 07 2010     82 chars (1 sms)     8104 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi is nagar tujhe dekhna
kabhi us nagar tujhe dhondna

kabhi raat bhar tujhe soochna
kabhi raat bhar tujhe dhondna

mujhe ja ba ja teri justujo
tujhe dhond-ta ho mein ko ba ko

kaha khul saka tere ro ba ro
mera is qadar tujhe dhondna

mera khawab tha k khayal tha
wo urooj tha k zawal tha

kabhi farsh pe tujhe dekhna
kabhi arsh pe tujhe dhondna

teri yaad aie to roo dia
jo tu mil gaya tujhe kho dia

mere silsily bhi ajeeb hain
tujhe chor kar tujhe dhondna
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
~ YAAD ~

Shab k

Pichley Peher Tak

Main Leta Raha

Hichkiya''n

Aur Phir

So Gayi''n Tum ...
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
dil dukhane k lye wo krta raha mujh se ek shakhs ki muhbt ki batain.

amir

pata nahi wo khush naseeb shakhs jahan mein hai bhi k nahi.
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Tu B kise ka pyar na paye Khuda karain,

Tujh ko tira naseeb rulaye khuda karain
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
Kaash !!

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???
Tumhien maloom hai

janaan!!

tum bhi

ek...

qatil ho,...

mery ander ka ek

hansta hua insaan

Tum ne mar dala hai

MOHABBAT!

jis ke bagher app ki zindagi adhori hay.

jis ke bagher her rishta be mayeni hay.

MOHABBAT

jis ke bagher kainat ka her rung be rung hay.

jis ke bagher her ehsaas khali burtan ki terha.

MOHABBAT.

jis ke bagher insaan bemool.

MOHABBAT.

jo anmool bana deti hay her rishte her ehsaas ko.

her shey her rung ko.
Pyaar ne apna hunar dikhaya bhi bahut,
ja-ja ke humne unhe manaya bhi bahut,
sach pucho to pyaara bhi bahut lagta hai wo shaqs,
jis ne dil dukhaya hai bahut..