abr-e-bahaar ne

abr-e-bahaar ne
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
  

Jun, 02 2010     139 chars (1 sms)     2719 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jaty hain.
Pathar Hai Tery Hath Mai Ya Koi Phool Hai,

Jb Tu Qabul Hai, Tera Sub Kuch Qabul Hai,

Phr Tu Ne De Diya Hai Naya Faasla Mjhy,

Sar Par Abhi Tu Pichli Masaft Ki Dhool Hai,

Tu Dil Py Bojh Lekr Mulaqat Ko Na Aa,

Milna Hai Istrha Tu Bichrna Qabul Hai,

Tu Yar Hai To Itni Kari Guftgu Na Kr,

Tera Asool Hai Tu Mera B Asool Hai,

Lafzon Ki Aabro Ko Gnwa Na Yun Adeem,

Jo Maanta Nhi, Usy Kehna Fazul Hai.....!!!
Kash mein ek shaayar hota,
kaash yeh dil ki baat kehpaata,

Labon tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

kaash who mere dilke ashk sun pateee,
kaash mein ek shayar hota.
Nazro ko teri mohbt se Inkar nahi hai

Ab mjhe kisi ka INTIZAR nahi hai

Khamosh agr hun to ye ANDAZ hai MERA

Tum ye nahi smjhna k mjhe PYAR nahi hai
Apne Hatho Ki Lakiron Ko Khurch Dala Maine
Ksi Aamil Ne Kaha Tha Tu Paraya Hoga
Sham Hote Hi Sare Diye Bujha Deta Hun
Ye Dil Hi Kafi Hy Teri Yad Me Jalne K Liye
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Koi Baat Esi Kiya Karo,Koi Lafz Esa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa,Koi Shair Esa Padha Karo
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
Mo'azaz ban ke mehfil main adaakari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti aayinaa taari nahi karta

Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jisse main dost keh doon us se ghaddari nahi karta

Yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhari nahi karta

Mujhy mo'Qa shanasi ka hunar ayaa nahi ab tak
Jahan matlab nikaLta ho samajhdari nahi karta.........!!!!!!!!!!!!!
NA SAATHI HAI KOI NA SAHARA HAI KOI
NA HUM HAI KISI KE NA HAMARA HAI KOI
MAGAR ITNA TO KEH SAKTE HAI AAP KO DEKH KE
EK PYARA SA DOST HAMARA HAI KOI
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin

Aey Meri Neend Ki Pariyoon, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
sHamMA pArwane se kehti yeh ro kar

SHAB-E-HIJAR

Aaj ki rAat bachain gain to sehAr Dekhain Gain.