apni khatir jagge ho soye ho

apni khatir jagge ho soye ho
apni khatir jagge ho soye ho

apni khatir hanse ho roye ho

kis liye aaj khoye khoye ho

tum ne aansu bahut piye apne

tum boht saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho kar raho

husan hi husan ho zahaanat ho

ishq hoon main to tum mohabbat ho

tum meri bas meri amaanat ho

ji liye jis qadar jiye apne

tum boht saal reh liye apne

ab mere sirf mere ho kar raho...!
  

May, 29 2010     389 chars (3 sms)     2689 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum mile to tumhare milne se………………..
Guzre mausam ki yaad aayi hain……………..
Jab khile the gulab ke mausam……………….
Betahasha shabaab ke mausam………………
Woh muhabbat ke shabnami lamhe…………
Jinki khushbu se chandani meheke…………..
Ittefaakan jo tumko dekha hain………………
Yun laga ki waqt phirse palta hain..................
Kitni majburiyo ke the manzar………………
Dooriya door taq rahi hum par……………….
Phir bhi tum jaane dilme rehte rahe…………
Hum tassavur main sher kehte rahe………….
Kaif ne gunguna liya tumko………………….
Dhadkano main sama liya tumko…………….
Tumko bhoola nahi gaya humse……………..
Silsila har qadam raha humse………………..
Ittefaakan jo tum mile humdum……………..
Guzre mausam ki yaad aayi hain…………….
!!!Tunha tunha mat socha ker!!!

Tunha tunha mat socha ker
Mar jaye ga mat socha ker

Jis ki fitrat main dasna ho
Woh to dasay ga mat socha ker

Pyar ghari bhar ka hi bohat hai
Jhota, sacha, mat socha ker

Maan mere shahzade wagerna
Pachtaye ga mat socha ke
Meri Takmeel mAin Hisa hAy TumhAra B bohAt,




Main Agar Tum se nA milta to Adhura Hota.
Na jane tum par itna yakeen kyun ha.

Tera har ik khayal haseen kyun ha.

Kehte hein pyar ka dard metha hota ha

Phir ankh se nikla hoa ye aansu namkeen kyun ha
100 khaloos baaton mein sab karam khaylon mein.

bus zara wafa kam hAi teray shehAr walon mein.
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki.
Nazar andaz kaisay karein apko
Naron mein bithaya hai apko
Yad anay par royin bhi tu kaisay
Bartay hein jhukee jo palkein tu chubhein gee apko
Kitna Chahte Hyn Tumhain Hum Kabhi gaur Tou Ker

Itne Tou Kabhi Hum Apne Talbgaar Na Thay ...
Dikha rahe hai mujhe zindgi me khwab bahut,
tumhare chehre se milte hai ye gulab bahut,
jara batao mujhe pyar kitna hai,
tum apni ungliyo pe rakhte ho hisab bahut
Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge
tere bin jindagi adhoori bhi nahi,
tere bin jindagi poori bhi nahi,
tum ho thahre dariya ke us paar,
par mahsoos hota hai ki koi doori bhi nahi.....
Lagzisho’n Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main BHi Nahi

Maslihat Ne Ker Dia Dono Main Paida Ikhtilaaf
Werna Fitrat Ka Bur Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Mukhtalif Simto’n Main Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Chahate Dono Bohat Hain Ek Doosre Ko Magar
Ye Haqeeqat Maanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi