Kabhi dil na mera liya

Kabhi dil na mera liya
Kabhi dil na mera liya hota
Ya wada hi na kiya hota
Dena mujhe jo zakhm tha
Itna gahra to na diya hota

Kiska gunaah kahain isko
kis kambakht se gila hota
hota khuda hi meri taraf
ya sanam na bewafa hota

iska bhi koi hisaab hai
rishta koi to raha hota
Jab ashk hi bahe the to
ye dil bhi bujh gaya hota

"Meri aah sun ke wo bola
GHam-e-zikr kyun kiya hota
dard-e-dil ku''redne se to
behtar tu mar gaya hota"
  

Jun, 05 2010     426 chars (3 sms)     2596 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Nigahon Mein
Na Khuwaish Hai
Na Hasrat Hai
Na Malal
Ab Yahan Lub Py
Kahan Hurf-E-Sawal Aata Hai
Hum Ny Apny Dil Ko Bohat Dair Sanbhala
Dil Hai Pathar Toh Nahee
Is Mein Toh Baal Aata Hai
Ab Humey Kis Ki Muhabbat Ka Yakeen Aaye Ga
Un Ki Beyzar Nigahoon Ka Khayal Aata Hai..!
soch soch kay may thuk jao
piyar kahay tujh say ho jay

lakh chhupaaoo chahay may sub say
aizhar kahay tujh say ho jay

bach kay nikal jaoo chahay sub say
per samna tujh say ho jay
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
Dedicated to all students..

Bhool gaye shehar se aa k parhnay walay..

Kis ki Maa ne kitna zever becha tha.
Mujh say kahtee hai tairay saath rahongi sada

Buhat payar kartee hai mujhse -Udassi- meri
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,

Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
Tere sheher main sham hoti ja rahi hy
zindagi ilzam hoti ja rahi hy
WO to ab bi azad hy muhabbat se lakin,
Meri har saans us ki gulam hoti ja rahi hy.
Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
Tum tu chand ho jisay sab log yad kartay hain
Hamari qismat tu taron jaisi hai
Yaad to door
Log apni dua k liye hamaray tootnay ki faryad kartay hain
Dekho ik aur kissa aam ho gaya,
Ik naam rakhney wala benaam ho gaya,



Har aan hai wo ghamoon ki daldal mein,
Mohabat ka ik aur burra anjaam ho gaya
iss haqeekat ko na honay dena logon py ayaan mohsin,,

k teri chahato''''n sy chalti hain meri saansain...