gul shaakh se bicharray

gul shaakh se bicharray
gul shaakh se bicharray to kahein ka nahi rehta "MOHSIN"

tum khud ko judaa meri zaat se kuch soch k krna...
  

May, 29 2010     111 chars (1 sms)     2917 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hmari Pyaas ka Andaaza he ALaG hY FRAZ

Daryaon ko Thukra k Shabnam ko Tarsty Rehty hain
Tanhai main rehte hein kay yun dil ko sakooN Ho


yeh Chot Kisi SahiB-e-mehfil Sey Lagi the. . . ./
Tinko s bane pal, pal se bane lamhe,
Aur lamho ne waqt ko buna,
Har pal koi kissi ke saath nahi reh sakta,
Iss liye khuda ne yaadon ko chuna.
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein ...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein Khushiyan Muqadar Say Milti Hein Yahaan Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!!
mujhe ata tu nahi hai muhabat kerni...

kounk main maa se aksar naraz rahta hun...
ho sake tu bhar day apni neend meri aankh mein,,

main to teri yaad mein barson se soya hi nahi
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete
Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
Tapan suraj se hoti hai,
Tapana Zameen ko padta hai,
Mohabbat Ankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai