Khuda ne kaash

Khuda ne kaash
Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
  

Jun, 07 2010     174 chars (2 sms)     2278 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka Intizaar Hai
Kaanch ka tohfa na dena kabhi,

Ruth k log tod diya karte hai,

Jo bahut ache ho unse pyar na karna,

Aksar ache log hi dil tod
diya karte.......;->
main apni wafa k badle tum se wafa nahi mang raha...

main tu tum se haseen raat mang raha hoon jis main tum na thy

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aankho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
Aankhei''n moond leta hn !!!!
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi Safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
Na Maango Har Baat Per
Wazahatei''n Ae Dil-e-Nadan


Mohabbato''n Mein Kuch
Sawalo''n k Jawab Nahi Hoty
Aaina zarori hay...

Zindagi k che''hray ka...

Naqsh jab bigarr jaaey...

Dosto''n ki aankho''n may...

Dushhmani ubahr aaey...

Kaanch ki sunehri baat ....

Zair-e-lab bikhhar jaaey...

Lafz bay-yaqeeni k...

Chungalo''n may ghir jaaey''n....

Sakht bay-subaati ho...

Baat baat zaati ho..

Is tarah k aalam may...

Aaina zaroori hay...!
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
Kadam u hi dagmaga gaya raste se
Warna sambhalna hum bhi jaante the
Thokar bhi lagi to us pathar se
Jise hum apni JAAN mante the
~ Tu Ch0r Gaya Mujk0 Dunya K Rehm-0-Karam Par




~ Kuch Dair K0 t0 S0cha H0ta
Tere Bin Kaise Jee Painge''." . . . /