Teri barat chali,

Teri barat chali,
Teri barat chali,

meri mayat uthi,

phool tujh pa bhi tha,

phool mujh pa bhi tha,

farq itna tha ka tu saj ka gay,

mai sajaya gaya,tu b ghar ko chali,

mai bhi ghar ko chal,

farq sirf itna tha tu uth ka gai,

mai uthaya gaya,

mahfil wahan b lagai,

log yahan b the,

farak itna tha k un kah hansna,

wahan un ka runa,qazi udar b tha,

molvi idhar b tha,

farak itna tha taira nikkah parhaya gaya mera janaza parhaya gaya,f

arak itna tha tujhe apnaya gya mujhe dafanaya gaya
  

Jun, 07 2010     510 chars (4 sms)     3569 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
MERY ashkon ko palkon peh machalna bhi nahin aata...
hasar-e-zabt say to mujh ko nikaln bhi nahin aata...
mujhy lagta hai jaisy main wo koi gham ka sooraj hoon...
keh jisy sham ho jany peh dhalna bhi nahin aata...
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
yeh sach hai keh tum mari zindagi ho.
zindagi ka magar bahrosa kya
Roh ko hijr k kaanton sY guzaarY To sahi,


Dil koi GehrY Samandar main UtaarY To sahi,

Phir main ek Hansti hoi Subah laa kr don,

Raat wo merY Lye ro kr GuzaarY To sahi.
Zindagi agar jaam hai tu saqi pee jane de..

mujhe bi kisi ki ankhon se toot kar bikhar jane de.
Apni Kharabiyo’n Ko Pas-E-Pusht Daal Kr…

Har Shakhs Keh Raha Hy Zamana Khrab Hy…
Teri Zaat Aur Mujh Main Ye Hi Farq Hy Zara Sa

Tu Hy Duurio''n Ka Qqa''il Main Hoon Qurbato''n Ka Pyaasa
Rok detey hein shariat k takazey warna
Mei tera ziqer sab se afzal kar don.