Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.