mujy teri judai ne

mujy teri judai ne
mujy teri judai ne
yahi meraj bakhshi hy
k main jo lafz likhta hoon
wo saary lafz roty hain
k main jo harf bun'ta hoon
...wo saary bain karty hain
mery sang is judai main
mery alfaz marty hain
sabhi tareef karty hain
meri tehreer ki lekan
kabhi koi nahi sunta
maery alfaaz ki siski
falak b jo hila daaly
mery lafzon main hy shamil
usi taseer k aansu
kabhi dekho mery hamdam
MERI TEHREER K AANSU
  

Sep, 30 2011     394 chars (3 sms)     7402 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

iss haqeekat ko na honay dena logon py ayaan mohsin,,

k teri chahato''''n sy chalti hain meri saansain...
Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
Jab insaan k jism se roh nikali jati hai to wo itni buri tarah se aawazen nikalta he k sath wala dar k mary mar jaye.
Usay Mai Apna Banaun Kasay

"Khush Thay Hum Akailay
Na thi Humien Koi Fikar
Dusron Ko Hansaya Krtay Thay Hum
Ghum Ko Nazdeeq Na Anay Detay Thay
Par Na Janay Kya Jadoo Tha Us Mai
Ka Wo Humien Dewana Kr Gae
Ab To Katata Nae Hai Din
Na ati hai Neend Raat Bahr
Hr Wqt Yaad Mai Rehty Hai WO
Na Janay Meri Hansi Kahan Chali Gae
Hanstay Hansty Bhe Ab To Ro Deta Hun
Hr Wqt Us Ki Yaad Mai Bechain Rehta Hun
Pr Usay Is baat Ka Ilm Nae Hai
Kahi Baar Usay Apnay Dil Ka Haal Sunana Chaha
Lakin Is Baat Ka Dar Rehta K kahien Wo Door Na Ho Jaye
Kasay Sunaon Mai Apnay Dil Ka Haal
Kasay Bataon K Kitna Chahta Hun Usay
Jo hai Her Waqt meray khyalon Mai
Usay Mai Apna Banaun Kasay……………..
kon kheta hai k dour hain hum
woh bhe tou wahi aasma dekhti hogi
jo main dekhta hoon
woh bhi tou wohi suraj dekhti hogi jo main dekhta hoon
farq hay tou hay bus itna
farq hay tou hai bus itna
woh wahan chand dekhti hay
aur main chand me uski surat dekhta hun
. . Kaha Sirf us Ne
Itna Ke Khamoshi
Hai Mujhe Bohat Pasand . .


Itna Sun''na Tha Ke
Hum Ne Shor Machati Apni
Dharkanen bhi Rok lee..
wohi hath ksi aur k hathon mein hai to ajeeb lagta hai
mohsin
jin haathon ki choriaa kabi totti thi mery haathon mein...
Jahan pholon ko khilna tha tha waheen khilte to acha tha

Tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne phir pyar se dekha mujh ko...
Aaj Tak Jo HUM
TUM Se Keh Na Sake

Aaj WAZAHAT Se
IQRAR Kerte Hyn

Jisey Tum ROZ Dekhty
Ho AAENEY Mein

Us Se HUM Be-Panah
PYAAR Kerty Hyn ...
Khud Apny Ley Bate K Sochain Gy Kisi Din
Youn Hi K Tuhjh Bool K Deykain Gy Kisi Din
Batakhty Hovy Phirty Hain Jo Lafz Dil Main
Dunya Ny Deya Waqt To Lekain Gy Kisi Din
Hil Jay Gay Yeh Arsh K Dar-O-Bam
Yeh Khak Nasheen Log Jo Bolen Gy Kisi Din
Jati Hy Kisi Jeel Ki Gehrai Kahan Tak
Aankon Main Tery Doob K Dykain Gy Kisi Din
Wo tanha rehna Ghabrana
Or ankh mai anso bher lana
Kab sath humara chootey ga
Ees soch ko ley k der jana

Khood hath laga ker chahrey pey
Mughy sooch mey la ker shermana
Yoo bhool k doniya wallloo ko
bus naam mera hee dohrana

ees ko wo ibadet kehti he
wo kiss oljhan mai rehti he
bus piyar jatati rehti he
or derd bharati rehti he
yadoo mai khoyee khoyi see
ansoo hee bahati rehti he
janey ye kasi shidat he?
Hathoo ko jalati rehti he?


Tahreer kahi koch likhti he
Or Khood ko sonati rehti he .....;->