dil ko behlany ki batain

dil ko behlany ki batain
dil ko behlany ki batain meray qasid na karo.

saaf keh do vohi inkar hua chahta hai.
  

May, 29 2010     88 chars (1 sms)     2627 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta''aluq Ki Nisbat

Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga.
Haseen paloon ko phir se aabad ker rahe the,Chand se ap ki baat ker rahe the,Dil ko barra skoon mila jaan ker,k ap bi humein yaad ker rahe the..
Zinda Hain Tu Kiya Hai Jo Mar Jain Hum Tu Kiya,

Dunya Se Khamoshi Se Guzar Jain Hum Tu Kiya,

Hasti He Apni Kiya Hai Zamane Ke Samne,

Ik Khuwab Hai Jahan Main Bikhar Jain Hum Tu Kiya,

Ab Kon Muntazar Hai Humare Liye Wahan,

Shaam Aagai Lout Ke Ghar Jain Hum Tu Kiya,

DiL Ki Khalish To Sath Rahe Ghi Tamam Umar,

Darya-e-Gham Ke Paar Utar Jain Hum Tu Kiya . . . (+_+)
Her ek roop me sajne lage ho..

Baharoon ki Rut Main Nikharne Lage Ho..

Irada Na Karna Bicharne Ka Ab Tum.

Kyoun k Ab Apny Apny Se Lagne Lage Ho..
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Huy Ham
Na Toot Ker Pyar Ker Sake Na Ro Sake Ham
Wo Bhi Din Thay Roz Mila Kerte Thay
Yeh Bhi Din Hai K Milne Ko Taras Gaye ham
mAsoom C Khwahish hy Dil ki,

pakeeza Chahat hy meri


koi DaAG Lagay to kaise


Ba''wazoo mohAbAt hy meri.
Dil bohot udas hay
Woh baarguzre waqt
Ka nazar k aas paas hay

Wohi hawaa wohi fazaa
Jo tu naheen to kiya maza
Khile to hain chaman magar
Na rang hay na baat hay
Dil bohot udas hay

Kahan falaaa kahan zameen
Mileen ge hum yaqeen naheen
Yeh pyaar ki hay intaha k
Phir bhi teri aas hay
Dil bohot udas hay

Nazar nazar hikayaten
Nawazishen inayateen
Bohot hay yeh mere liye k
Tu wafa shanaas hay
Dil bohot udas hay
Mohsin khushi ki Bheek mAin kis kis Se maanGta


AchA huA k Gham Se Tabiat Behal Gai
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
Kitne ulaj gae ha judai ma zindagi,

Wo shaks jafa kar k ehsan kar gaya,

Ma jis ko baat baat pa kehta tha apni jaan,

Dekho wo he shaks mujhe bejan kar gaya,

Phely wo meri zaat ke tameer ma raha,

Phir mujko apny haath se masmaar kar gaya,

Wo Aaa mila tu faasly kat' tay chaly gaey,

Bichra tu rasty merey dushwar kar gaya,

Bichra kuch es ada se k rut he badal gae,

Ek shaks saary shehar ko viran kar gaya
"Wo Zehar Daita To Dunya Ki Nazroun Mein Aa Jaata...!


"Kamal Ki Sooch Thi Uss Ki, Us Ny Piyar Kiya Aur Chhor Diya..."