wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. ...........