Parwanay ko sham''ma pe

Parwanay ko sham''ma pe
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
  

May, 29 2010     113 chars (1 sms)     3231 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Gilay shikWay kro mjse ...tmhe jaana ijaazat hAy


lakin Baat na krne se Ta''alaq Toota nhi kartay
Saanson k silsily ko na do zindagi ka naam...!


Jeeny k bawajood bhi mar jaty hain kuch log
Zara Aagey Chalo Ge Tou Izafa Ilm Mein Hoga

Mohabbat Pehly Pehly Be-zarar Mehsoos Hoti Hy (:
Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
Kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko samjha laina
Bus yaad say dil behla laina
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
woh to nahi mil saka ab royen kia rulayen kia..
jisko khaber hi na ho iss dil ki usko haal baatayen kia...
usnay chaha bhi to woh main na thi...
apni kismut pay ansoo bahayen kia...
barish ki in bundon main Main saray ansoo baha daloon...
kay jub dil hi toot chuka ho to ankh main ansoo bachayen kia
Tum se roz milne ko dil chahta hai...

kuch sunne kuch sunane ko dil chahta hai...

Tha ap k mananai ka andaz aisa...

Roz ruth janai ko dil chahta hai...
lakhon main chant k dey dey wo log yarrab
kanton ki rahguzr main b jo sath chalain humaisha
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai
Tumhare Baad In Phoolon Ko Khilna Kyun Nahi Aaya
Wohi Dharti Wohi Sooraj Sawera Kyun Nahi Aaya
Wohi Bersaat Ka Mosam Wohi Chahye Hue Badal
WO Rut Lout Aye hai Lakin wo lamha Kyun nahi aaya
Mulaqatain Huin Batain Huin Ghull mil gaye dono
Magar Dil mein utar jane ka moka kyun nahi aaya
hua kia hai mujhko eo kia janta hai,

wo ek shakhs mujhko juds jsnts hsi,

wo mumkin hai mujhko bhula dega lakin..

jo guzray gi mujh par KHUDA janta hai,,