Us nay mujh say kaha
meray saathi!
tum ko mujh say jo hay gila ....kiya hay?
kabhi fursat milay tu socho,
manzilain kion hain? fasla iya hay?
apnay apnay safar pay niklay log
mushtarka raston pay chaltay hain
hamrahi kay hisar main jitnay
din nikaltay, chiraagh jaltay hain
apni apni umeed kay dar-o-baam
zindagi kay safar main miltay hain
mutaqil dard, aarzi aram
tum meray hamsafar tu ho lekin
hum kahin say bichar bhi saktay hain
dair tak aik taweel rastay par
saath tu ajnabi bhi chaltay hain!!!!!!!
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
Baton Baton main bicharny ka ishara kar k,
Khud b roya bahut wo hum se kinara kar k,
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Kuch roz tere bina guzara kar k