Dil ke bazaar mai

Dil ke bazaar mai
Dil ke bazaar mai dowlat nahi dakhi jati
Dosti ho jaye tu sora nahi daikhi jati
Dosti pe luta don apna sab kuch
Kionky pasand ki cheez ho tu qeemat nahi daikhi jati
  

Dec, 13 2014     167 chars (2 sms)     8420 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main dhoop dhoop musafat main jis k sath raha"mohsin"

zara si chaon main us ne bhula diya hy mujhy...
Mujhe kisi k aaney ka itna yakeen tha "SAGAR"


Raat kat gai or main ghar he sajaata raha...!!!
Ek Din Guriya mujhe Se Boli

Kya Wo Tum Ho?

Jo Mere Kano Se Lag kar

Apni Gazlain
Apni Nazmain

Keh Jata Hai

Phir Main Bola!

Han Main Wohi HooN,

Phir Wo Boli!

Bohat Buray Ho,
Bohat Buray Ho.

Neend Ura Kar So jate Ho. . .!
tu mohabbat ki zamin se mujh ko aawaaz to de

aasmaan par bhi howa to uarr ker aaonga main...
Jisko Mangy Ga Tujhko Wo Mil Jaye Ga
Bas Sirf Tujhse Tera Yeh Dil Jaye Ga
Dil Bhi Nadaan Hai Kyun Pereshan Hai
Usko Dekhe Ga To Khud Hee Khil Jaye Ga
Ishq-O-Masty Ko Tu Itna AAsan na Samjh
Aaye Ga Tujh Pe Jab Tu bhi Hil Jaye ga
Bewafai Ka Koi B Merham Nahi
Rafta Rafta Zakham Khud Hee SIl Jaye Ga
Jab Chale Ga Tu Kanto Pe To Phir
Jism Tera Kharashon se Chil Jaye Ga
Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker
sAb K Honton Pe Tabassum tha Meray Qatl k Baad




Jane kiya SOCH K rota raha Qatil merA.
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha
Main chahta hi na tha use Lajawab karna

Wrna jawab mere paas us k har swal ka tha

Uski jeet se hoti thi khushi mujhko
Yhi jawaz mere pas apni haar ka tha..
shumaar uski skhawat ka kua karen keh wo shakhs.
charagh bantta pherta haicheen kar ankhain.
Mujhse Kehti Hai Tere Saath Rahon ge Sada
Bohat Pyar Kerti Hai Mujhse Udasi Meri
choTa sa ik lafz tumhaara
kitna peyaara lagta hai
dil meN khushiyoN ke najaane
kitne phhool khilaata hai
phheeke se be.kaif se din meN
shokhi ke rang sajaata hai
jab eid ke din ik card mile
uss par hoN surkh gulaab bane
jis ke andar sab se neeche
likhne waale ne likha ho
tum ko dil se chaahne waala
sirf tumhaara
tab
choTa sa ik lafz tumhaara
kitna peyaara lagta hai..