Tairy Tarz-e-tagaful

Tairy Tarz-e-tagaful
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
  

Dec, 13 2014     98 chars (1 sms)     4710 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zindagi k
Is Bayabaan Mein

Tum Abr-e-Baraan
Ho Mere Liye

Aur

Abr Bhi Aisa K

Jo Puur Puur Ko
Bhigo Daley .. !
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
humara bachha najayaz hein to kya...........
hum kaunse jayaz they................
Mujhay sab kuch Qabool ha aye Falaq,
Gham-e-Yaar Mujhe Talab na kar,
Mein use kaisay dil se juda karon,
Jo meri Umer Bhar ki Talash ha,
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...
Apni Dharkano se Kch aisey mera Naam Lo
Ye Waqt ruk jae Is Lamhay ko Tham lo
Teri Ankhon me Jhalak hai aesi meray Pyar ki
Saahil pe Dhalti jese Haseen Sham ho
Khamoshiyo ki wo dhimi si aawaj hai,
Tanhaiyo me wo ek gahra raaz hai.
Milte nhi h sabko sachha pyar yahan,
Aap jo mile to hume khud par naaz hai
Ye Namumkin Hain Qasam Say Main Rahon Tum Say Juda
Meri Dunyain Hain Muhabbat Tum Muhabbat K Khuda
Mujhko Khayal hai k..... tu mera Khayal hai...
Aik Markz-e-Khayal...... tera kia Khayal hai?

Aata hai tu Khayal me....... is qadar Khayal se...
Tujh ko mere Khayal ka....... kitna Khayal hai
Jighar ho jaatega chhalni ye aankhein khun royeingi

WASEE! Bay faiz logo se nibah kar kuch nahi milta!
so baar mrna chaha nigahon mein doob kr"jana"

woh nigahein juka leta hai humain mrnay nahi deta..
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut main
yah tay hay ab k hamain bhi nihal hona hay


tumhain khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai hamain woh bay misal hona hay