kai baar sochte hai aapse

kai baar sochte hai aapse
kai baar sochte hai aapse kuch jajbaat kahe
aapse baya kare is dil ki tanhaiya
kabhi apni takdeed ki dushwariyo ke haalat kahe

par jab kabhi saamna hua nigaho se teri
hosh tak na raha apne wajood ka
gamo ki kya aukaat kahe...
bas tera hi najaara karti rahi ye nigahe,
aur khamosh se sab khyaalat rahe
  

Jun, 02 2010     309 chars (2 sms)     2588 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Shahadat K Waqt Bhi Chorri Nahi Namaz,,,

Aey Maot Tu Bhi Dekh Ley Ibadt HUSSAIN a.s Ki...
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
youn bhi chajatey ho mere hawason per aksar

main tere diye sab dard bhool jata hoon
Wo Waqt Bhi Dekha Hai Tareeq Ki Ghadiyo''n Ne

Jab Lamhon Ne Khata Ki Aur Sadiyon Ne Saza Payi Hai
kaha us ne ke shaakhon se,

judaa phoolon ko karne kii

hawaaon ki jo saazish hai ,

use achchi nahi lagti

faqat ik pal ko jii chaaha

use itna to keh doon aaj

mohabbat

phool ki in pattiyon se barrh ke

naazuk thi

jise qadmon tale is ne

kabhi ka rond daala hai
Khamoshi Ka Asar
Gehra Hota Hy
Awaaz Sy

Ye Bohay Kuch Keh
Jaati Hy Apne
Andaaz Sy ... !!
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
nikla tu tha naye dil ki talash main manzil pe AMI....

raste pe mila wohi dil zakhmi halat main k raham aa gaya..
Hamare Ansoo Pooch Kar Wo Muskurate Hain ..
Esi Ada Se Wo Dil Ko Churate Hain ..
Hath Unka Chu Jaye Hamare Chehre Ko ..
Isi Umeed Main Hum Khud Ko Rulate Hain ..
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi Zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho