Akela Hun Magar

Akela Hun Magar
Akela Hun Magar
Abaad KarLeta Hun Veerane.
Bohat roye ge Mere baad Meri Shaam- E- Tanhaai..
  

Jun, 02 2010     93 chars (1 sms)     10092 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyar se pyari koi majburi nahi hoti, Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,Dilon ka juda hona ek alag baat hai, nazron se dur hona koi duri nahi hoti
Nahi wo shakhs muqadar main phir bhi Uss se miltay hain,,,,

Bara pur Lutf lagta hai muqadar ko SaZa dena....
hasrat hai kabhi un ko nazdaik se daikho...

nazdaik hoon to aankh uthai ni jaati...
Shayari tau hum bhi apne,
DIL - O JAAN se likha karte hai....

Dil mai basi uss,
DIL - O - JAANAM ke liye likha karte hai....

Chahat tau hum mai bhi hai kay,
Apni shayari say unka dil jeet lay

Isiliye tau har roz,
Unke baare mei kuch KHAAS likha karte hai....
Deewane hai tere naam ke is baat se inkar nahi,
Kaise kahe ki Hume aapse pyar nahi,
Kuch to kasoor hai aapki adao ka,
Hum akele to gunhegar nahi...
ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi bedard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->
Bana ajnabi mera Humsafar....
Aur nazar bacha k guzar geya.
Main tha raston se bekhabar....
Aur Usey manzilon ka shaoor tha.....
Na theen aur koi b Ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha.....
K Usey pasand theen shokhyan aur Mujhey sadgi pe ghuroor tha...
khushbakhti samajh lo

ya......

siyahbakhti keh lo..

mujhe sare zamane mein

mohabbat hai to bas

Tum se......
Tum k sunte rahe,
auron ki zubani logo,
hum sunate hain tume,
apni kahani logo

Kon tha dushman-e-jan,
wo koi apna tha k gair,
han wahi dushman-e-jan,
dilbar jani logo

Zulf zanjeer thi zalim ki,
tou shamsheer badan,
Roop sa roop,jawani c jawani logo

Hum jo pagl thy,to be''waja nhi thy pagl,
Ek duniya thi mgr,uski deewani logo

Han wahi nam k jis naam se wabsta hai,
Hr mohabat,wo na''i ho,
k purani logon

Hum hi saada thay,
kiya us pe bharosa kya kya.
Hum hi nadan thay,
k logon ki na maani logo

Kis tarah bhol gaya,qol o qasam wo apne,
Kitni be''sarfa gai,
yad''diyani logon.../ ;->
Ankhon se dur ho par dil se nahi,
Dil me zarur ho par milte nahi,

bus yehi gila hai tumse dost,
tum milte zarur ho par dil se nahi..
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.