Kabhi yaad aao to is tarhan,

Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan
  

Jun, 01 2010     310 chars (2 sms)     2464 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mere dukh kii koii davaa naa karo
mujhko mujhse abhi juda na karo


ye sikhaayaa hai dostii ne hamein
dost banakar kabhi wafaa na karo


ishqq haii ishqq, ye mazaak nahiin
chand lamhon mein faisala na karo


aashiqii ho yaa baandagii ''faakir''
bey-dilli sse to ebatidaa na karo
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
janay kion rung-e-baghawat nahi chupnay pata
hum to khamosh bhi hain sar bhi jhukaye hoyay hain
Kiya kabhi TU nay
yeh bi socha hai
kay…!!!
RAAT kay Aakhari peher main
koi...!!!
NUM Aankhon say
LARAZTAY Honto’on say
Apney Haath Phailaaye
TUJH ko "KHUDA" say maang raha ho ga...!!!
Har bar na kha kr tjhy chor dain gy hum,,

na hum itny aam hain na ye tere bs ki baat hy...
Apni tanhai mere naam se abaar kare,

Kon hai jo mujhe is trha se yaad kare,

jis k Ansoun se meri rooh kanp uthe,

Hai koi aisa jo Mujhe pane ki yu faryad kare.>
"Wo Zehar Daita To Dunya Ki Nazroun Mein Aa Jaata...!


"Kamal Ki Sooch Thi Uss Ki, Us Ny Piyar Kiya Aur Chhor Diya..."
Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap khat samjhti hain to muje aap ka khat mil gya :)
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......
Chahe Mujrim Samjhe Ya Koi Gunahgaar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein

Dil Dia Hay Kisi Ko To Mukarna Kesa

Pyar Kia Hay To Halaat Se Darna Kesa

Apne Is Jurm Ka Iqrar Hay So Baar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Pyar Hamein

Humne Maana K Hamein Jaan Se Jaana Hoga

Jaan De K B Hamein Pyar Nibhana Hoga

Lo Suno

Tark-e-Mohabbat Se Hay Inkaar Hamein

Saaf Kehte Hain K Ek Shakhs Se Hay Bohat Pyar Hamein.
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Theen

Acha Kia MUjhko faramosh Ker Dia