Uski yaadon ka

Uski yaadon ka
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
  

Jun, 03 2010     381 chars (3 sms)     3144 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../
ub k na kerna uska zikar meri wafa ki mahfil main.

agar wo aye tu use kahna meri mahfil se door ja k roye.
Is dil ki berukhi ki wajah humse puchiye

mohabbat mein mil rahi saza humse puchiye.

kyun ho udaas tum gam ki talaash mein,

gam ki har gali ka pata humse puchiye.
Usey Ik Saltanat Ki Rajhdani Chiye Thi
Mohabbat MeiN B Usko Hukmurani Chiye thi
Bicherne Ka wo Pehle Se taheya Ker Chuka Tha
Usey Meri Tarf Se bad-Gumani Chiye Thi
Wo Waqt Bhi Dekha Hai Tareeq Ki Ghadiyo''n Ne

Jab Lamhon Ne Khata Ki Aur Sadiyon Ne Saza Payi Hai
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON CHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON
kuch log khatoot ki tarha hoty hain
k bar bar parhney ko dil karta hai
or kch log ashkon ki tarha hoty hain
k sijdy me sir jhukaty hi ankhon se tapak party hain
kaysi mohabbat
kaysi chahat
hum par sub kuch
roshan hay
unhi zara sa
shoq hua tha
aoo dill barbaad kern......
Aanken Band Kar Bhi, Hum Tera Deedar Karte Hain,
Aye Sanam, Hum To Sirf Tum Se Pyar Karte Hain.
Lakh Chaah Kar Bhi Main Tujhe Bhula Nahi Saktey,
Saans Rahte, Teri Tasvir Aankhon Se Hataa Nahi Saktey.
Aakhiri Pal Tak O Bewafaa, Tujehe Yaad Kartey Hoon,
Teri Yaadon Yo Seene Mein Basaa Kar Chaltey Hoon.
Meri aankho me apna chehra dekh lo,
yaha aaino ka bazar nahi hai,
in labo pe hamesha muskan rakhna,
yaha aansuo ka koi khrid dar nahi hai.
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa


daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
har chiiz mitane vaalii har chiiz aanii-jaanii

yeh sab Guruur ik din mittii mein jaa milegaa
aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamaanaa

kiyaa Khwaab kaa bharosaa kiyaa maut kaa thikaanaa
ye zindagii ganvaa kar kiyaa faayedaa milegaa
Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta
Magar Yeh Soch Ker
Keh
Dunia, Hadsaat
Ajoobat
Aur
Itafaqat Ki Ser Zameen Hay
Khud Ko Dhokay Main Lay Aata Hoon
Kia Aay Dost
Sha''oor-e-Zaat Kho Saktay Ko
Apni Raah Badal Saktay Ho
Kia Khud Ko Dubo Saktay Ho
Kia Sach Ki Nafi Ker Saktay Ho