Ye dekha hai humne

Ye dekha hai humne
Ye dekha hai humne aajma kar,
dhokha dete hai log aksar karib aakar,
kahti hai duniya par dil nahi manta,
ki chhor jaoge tum bhi ek din apna banakar
  

Jun, 03 2010     152 chars (1 sms)     2149 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain
" Dekh kr aaienay mein aks apna,

Uski hairaniyaa''n nahin jati''n."
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Main Thak Gayi Hoon Jana''n
Kandho''n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino''n Ki Yaadai''n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana''n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto''n Se Bhar Chuke Hain
Kanto''n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo. . . !
Logon Ne Kaha..!
Is Derrr Se Kabhi
Koi Na Umeed Nahin Lauta
Koi Khali Haath Nahin Gaya
Main Bhi Logon Ke Sath Chala
Chehre Pe Gird-E-Malal Liye
Ek Pur Umeed Khayal Liye
Ek Khali Dast-E-Sawal Liye
Jab Kafila Us Der Per Puhancha
Main Us Ghar Ko Pehchan Gaya
Phir Khaali Hath Hi Laut Aya
Us Derrr Se Mujhe Kia Milna Tha….?
Woh Ghar Tu Mera Apna Tha……..!!!
Pehle chitthi k badle taar aata tha,

ek bulave pe mera yaar aata tha.

Ab padh kar delete karte hai mere sms ko,

kabhi har SmS ka jawab aata tha
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat“te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon
Asman ko need aaye to kahna sulaau kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
kahan Sagar mein lehar aaye to chupao kahan Jab teri yaad aye to jau
kahan!!!
aik arse se yeh aankhain soee nahi
hansi nahi
roee nahi
milli nahi
khoee nahi
ek baat thi dil main
jo tum se kabhi kahee nahi
TUM JAISA KOI NAHI
Thera Hosan Hai,Mere Zindagi,
Thera Eshiq Hai Mere Shaeri,
Thoon Tarashi Hai Mere Kheraloon Main,
Mere Aath Main Thera Aath hai,
Rahie Umer Bhar Yei Bekhudi,
There Sadagi Ithni Azeem Hai,
Thoon Fareen Hai Aa Tojhe choomloon,
Thoon Janat Ke Hoor Pari,
Jahan doreyoon Ko Qarar hai,
Yeie Anjuman Hai Bhar Ke,
Thoon Aaena Hai Kamal Ka,
Thoon Ye :akpan Hai Kamal Ka,
Khabi Thoon Hai Jane Musawary,
Thera Hosan Hai Mere Zindagi,,
Usay kehna mujhe tanhaiyon mein darr sa lagta hai


Tujhe jab sochta hoon to dil mein ik khanjar sa lagta hai

tumhare hi khayaalon mein, main aksar mehv rehta hoon

nikal aaoon to ye mahol banjar sa lagta hai...