Dil lagta nhi he ab tumhare bina

Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Khamosh se rehne lage he hm tumhare bina
Jaldi laut aao
Ab yahi chah he
Warna ji na sakenge tumhare bina
  

Jun, 01 2010     141 chars (1 sms)     16540 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,
Shayad mohabbat karne ki saza hai,

Jo ye judai ka zehar peete hai.

Humara dil to unke paas hai,

Kabhi socha hai usne hum kaise jeete hai.
''DUNIYA''se kuch ajeeb hein mery dil k mashghaley..

''KANTON''ko choomta hoon ta k phoolon ka dil jaley...
use kaho ub nahi aya jaye ga teri shahr ki tarf..

qadmon k nishan na milne per rota raha hon main...
Band kitab main khali auraq rakhta hoon

Dil ko aainey ki tarah shafaf rakhta hoon




Ik bar ka milna kar deta hia mutaassir

Apni ghufgato main kuch aisa andaaz rakhta hoon




Mujh sai milo to zara fasley sai mila karoo

Main dil main utar janey ka kamal rakhta hoon




Har dukh ko yunhi bant deta hoon lafzoon main

Kuch aisa hee dostana mizaj rakhta hoon
Kirdar say aari hoon meray sath na chal
Khud aap pey bhari hoon meray sath na chal
Kahiin bharam hi na hu jay tujh say tera khuda
Lal shulon ka pujari hoon meray sath na chal
Mein samandur hoon maojein hain meri tufan
Barhey zor say jari hoon meray sath na chal
Mein tu apni hasti bhi dao pey laga deta hoon
Aik barhum jawari hoon meray sath na chal
Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
Yun DIL Ko Har Ek Shaks Per Wara Nahi Karte
Aankhon Main Har Ek Aks Utaara Nahi karte
Honi Hai Toh Ek Baar He Ho Jaye Mohabbat
Yeh Bhool Hai Aisi Ke Doobara Nahi Karte
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
KHUD KO MUJH SE JUDA KIA US NE.
JO NA KARNA THA WO KIA US NE.


YAD KARNE SE BHI NA YAAD AAOON.
AISAY MUJH KO BHULA DIA US NE.


TUM TO BAS WAQT KI ZARRORAT HO.
MUJH KO AAKHIR BATA DIA US NE.


KHUD SE NAZREEN NAHEE MILA SAKTA
ITNA NEECHE GIRA DIA US NE.


APNE HAATHOON SE KHUD HI LIKH KE MUJHEY.
JANE PHIR KIOON MITA DIA US NE . . .
Dukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa kahan ka
Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera

toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein samandar mera

kisi sehra mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera

bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

aakhiri jur''a-e-pur kaif ho shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega saagar mera