hum bhi khardny nakle

hum bhi khardny nakle
hum bhi khardny nakle thy wafa husan k bazar main.

nalane kesa bazar tha k wafa k bahhao bara daye.
  

May, 29 2010     103 chars (1 sms)     2675 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kon Kehta Hy k Nafrato''n Main Dard Hy ''Faraz''
Kuch Mohabbate''n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !
jab woh mera naam

apne haathon ki lakeeron main

talash ker k thak gaya

tu dheere se sir jhukaya

aur muskara k kaha

"lakeerain jhoot bolti hain"!
Baarish Hui Tou
Lag k Dareechey Se
Ghar k Hum

Chup Chaap
Tumhai''n
Sochtey Rahey ... !!!
zuban kahti hai sara qasoor uska tha...

zameer kahta hai kuch zemadaar main bhi hon..
Darr-e-qafas sy paray jab saba guzarti hy

Kisay khabar k aseeron py kya guzarti hy

Taeluqaat kbhi es qadar na tootay thay

K teri yad b dil se ghafa guzarti hy

Wo ab milay b to milta hy es tarah jaisy

Bujhay charaghon ko chhoo kar hawa guzarti hy

Ye ehl-e hijr ki basti hy ehtiyaat se chal

Musebaton ki yahan inteha guzarti hy

Na poochh apni anaa ki baghawtain MOHSIN

Darr-e qubool se bach kr dua guzarti hy...\
Itni nafrat na kr k waja-e-m0habat bn jaye

habss barh jaye To Aksar Barsaat huwa karti hy
Is Se Bhar Kar Apnay Itezar Ki Kya Misaal Doon

FARAZ

K Marne K Baad Bhi Ankhain Khuli Raheen
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen..
mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya
Chupkey Chupkey Ro Lena

Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..