THora tHora sacH

THora tHora sacH
THora tHora sacH
THora tHora jHoot
Yun
Hamare piyar ki
bunyaad rakHi gai
THori si
GHaLat feHmi
THora sa kHauf-e-zamana
Yun Hamare piyar ki
PHir saakH tori gai..

(Nuzhat Shah)
  

Jun, 01 2010     187 chars (2 sms)     2796 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi ko mil jati hai rangeen baharen,
kisi ko chaman nahi milta,
kisi ke kabar par banta hai Tajmahal,
aur kisi ko kafan nahi milta.
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
mere rooh ki haqeeqat mere ansuon se pocho,




mera majlisi tabassum mera tarjuman nai...
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote
Meri pehchan bas naam hi sahi,

yaad na aaye tumhe itne badnaam to nahi.

hume bhul jana majburi hi sahi,

magar sachmuch bhul jao ye zaruri to nahi
Wo MuJ Se PoCh RaHa Ta BaTao KeSa LaGa
TuM AgLeY ZakHam Ko ChoHrO Ye Ghao KeSa LaGa

AjaB SaWaL KiYa AnDhiYon Ne PaaTHoN Se
ShaJaR Se TooTe KaR GiRnA BaTao KeSa LaGa
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi Safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
Ranjish To hoti hY Rabt_0_mraasim mAin MaGar

Tujh Se Ye kis ne kaha Tha k Mujhe Tanha kr dAy
jazba e ishq alfaz ka mohtaj hai lekan...

jo lafzon mein beyan ho,woh mohabat nahi hoti..
ho sake tu bhar day apni neend meri aankh mein,,

main to teri yaad mein barson se soya hi nahi