Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain
Some Hopes: badalna ata nahi humay mosamoon ki tarha
har aik rut may tara intizaar kartay hain
na tum samait sako gay jasay qayamat tak
kasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.
Kya Ek Hum He Han Jo Kisi Ke Awaaz Ko Tarstay Han
Kya Ek Hum He Han Jo Kisi Ke Yaad May Martay Han
Unko Khabar Nahe K Unkey Call Kay Intzaar May
Kub Say Phone Pay Nazran Jamye Hum Bathay Han
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay