Pura dukh aur adha chand

Pura dukh aur adha chand
Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
  

Jun, 02 2010     283 chars (2 sms)     3056 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni Roshni Ki bulandiyo''n Per Kabhi na Itrana

Chiraag Sab k Bujhte Hain Hawa Kisi Ki Nahi ...
Ajb rang hai insaan ki fitrat,,

Gila hai jis se,, ussi se pyar b hai...!
Bin Tery Shehr Ka Shehr Weran Rehta Hai.

Bichar Kr Tuj Sy Hr Rasta Sunsan Rehta Hai.

Wo Tujhy Tujh Sy Ziada Pyar Krta Hai.

Jo Tery Samnay Aksr Anjan Rehta Hai.
Husn Jab Mehr’Baan Ho to Kyaa Keejiye,

Ishq Kii Magfirat Kii Du’aa Keejiye...
Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi
Mohabbat bandgi hai is mein tan* ka kurb mat maango,,
keh jis ko chhooo liya jaye usey pooja nahin kartey...

Tujh ko khabar nhi
tujhe yaad karty hain yar pal
tujhe he apne khayalon main
tashkeel kerty hain...
tere he khawab bunte hain...
zindagi ki safar main
tujhe he apna humsafar mante hain
inn Un dekhi Rahon main tuhge he
meherban paate hain
kia tujhe nhi malom ?
keh tum he meri Zindagi ho... !!!
Aap ke Jaanisaar.Hum bhi hai.
Aashiq-e-Dil figaar,Hum bhi hai.
Dard kahta hai.Mujhse tanhaiyo me
Tum na ghabrao.Yaar saath hum bhi hai
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
chahre ka nisf hissa zer-e-naqaab kar k...

karte hain husan waley deedar mein milaawat!
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin main,


Aur mera yeh Adhora PaN