Aik mudat k Pyasay

Aik mudat k Pyasay
Aik mudat k Pyasay ko Fakat Aik he jaam

SaQi Teri Tang dasti mujay Yaad rahay Gi.
  

Jun, 01 2010     85 chars (1 sms)     2374 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Bachpanay Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gai...


Kya Omar Thi K Raat Hoi Aur So Gaye... O_O
Mein ne Tume
Apni wafaon ki zanjeer se
Azaad kya

Khudara!

Ye mat puchna k
Mein ne khud ko
Tumhari qaid se
Azaad kia ya nahi

Yaqeen Jano!

Mein un qediyon mein se hun

Jo khulay darwazay dekh kar bhi
Farar nahi hotey...!!
aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam

ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
Toot Jate Hai,
Bikhar Jate Hai,
Kaanch Ke Ghar Me Muqaddar Apne...

Ajnabi To Sadaa Pyar Se Milte Hai,
Bas Bhool Jate Hai Aksar APNE!!
Dekh Le Aa K Zara Chain Se Sone Walay

Kese Rote Hain Teri Yaad Main Rone Walay

Nahi Aya Meri Mayyat Pe Apna Koi


Mere Qatil Hain Meri Laash Pe Roone Walee
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.
Is hawa me khushbu hai tumhari,
is chand ki roshni me surat hai tumhari.

Is dil sey jo mar kar b juda na ho sakay
woh sirf aur sirf dosti hai tumhari.
Bhool kr B kanda na Daina meri mayat K0

kahiN Phir Zinda na ho JaoN Tera Sahara Samjh kr
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.