Gam is kadar mila ki

Gam is kadar mila ki
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,

khushi thodi si mili to milaa ke pi gaye,

yun to na thi janam se pine ki adat,

Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
  

Jun, 03 2010     172 chars (2 sms)     2638 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Khud Se Fursat He Moyassar Nahin Aai Warna

Hum Kisi Ke Hote To Tumhare Hote
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
mana ke khud marna haram hai danish,

magar uske baghair jeena bhi tu jaaiz nahi.
Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Phir Jo Bhi Hai Wo Nibaah Main Hy

Kab Se Maine Palak Nahi Jhapki

Koi Meri Nigaah Main Hai
Tera Aks Dil K Qareeb’tr,,,
“Teri Yad Jan Se Aziz’tr,,,
“Tera Dard Sb Se Hai Motbar,,,
“Kabhi Loat Aao Jo Ho Skey,,,
“Tere Bin Soona Mere Dil Ka Nagar,,,
“Mere Hum’nasheen Mere Humsafar,,,
“Teri MHBT Hai Azeem’tr,,,
“Tujhe duaen Itni Mein De Sakoon,,,
“Koi De Saky Na Umar Bhar
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
waqat bhi shayad insaan ki terha hai faraz.

hanste howe ata hai or roty howe guzer jata hai.

meri aur uski ankhein

kitni milti julti hain

ik jaisee rengut walee hain

farq hai to bus itna sa

meri aankhaon mein

rung hai uska

uski aankhain khalee hain!!
Ho Sakta Hai Ki Hum Saath Reh Na Paaye
Ek Dusre Se Kuch Keh Na Paaye
Itni Nazdkiyaan Na Badayiye Hum Se
Ki Hum Duriyon Ko Seh Na Paaye
" ye kiss dhund myn hm tum safar ka aghaaz kr bethay,

Tumhyn aankhyn nhi miltien muje chehra nhi milta...