Be Panah chahat

Be Panah chahat
Be Panah chahat k baad b hm Usay Pa na Skay ''faraz''

kisi khushnaseeb ne Usy Apni Berukhi Sy jeet Lia
  

Jun, 01 2010     106 chars (1 sms)     7136 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI..
pochnay walay ..
tujhay kaisay batayin hum
dukh ibarat tu nahe , ju tujhay ko likh bhaijain
yai kahani bhe nahe hay , kai sonayin tujhko ..
na koi baat hay aissi kai batayin tujhko ko
zakum ho tu tairay nakhon kai hawalay ker dain ..
aaeena bhe nahe hay kai dikhayin tujhko ..
tu nay pocha hay ..
mager kaisay batayin tujhko ? ..
Maana Hoon Gunahgaar De Lo Saza Bhi Lekin.../


Jo Kya Hai Gunaah WOhi Hai Be-Gunahi Meri.../
pholon k qabil nai shayad mera daman-e-atish.

ae sahib e gulshan isy kanton se hi bhar dy..
woh aye hamari lash per roye be naqab.

ab mayat uthaye kaun key sub meh-v-hussun they.
Unho ne apna
haath barhaya
hai
faqt mujhe thamane
k liye,,

Par un se
main yeh kaise kahoon.!!
k mujhe haath

nahi

saathI
chahiye=
Abi To zid hy UsAy rAstA bAdlny ki ''SAGAR''

kbi Wo Roay Ga Khud meri ChAhton k Liye
Nazar andaz kaisay karein apko
Naron mein bithaya hai apko
Yad anay par royin bhi tu kaisay
Bartay hein jhukee jo palkein tu chubhein gee apko
aik din tj ko ye adat boht rulye gi..

tu jo parakhta he hr kisi ko apna bna kr...
Ek wo din tha jahan ,
Teri bahon ka Sahara tha milta,

Ek ye Din k sar rakhne ko pathr bhi nahi Milta..
Kisi khas ko nazarandaz kiya nhi jata,

jinhe bhul nhi skte unhe yaad kiya nhi jata.

Ye yaadein to sahil hai un lamho ki,

Jin lamho ko dobara jiya nhi jata.
Mujhay tum yaad aatay ho

Muqaddar k sitaaron per

Zamaaney k ishaaron per

Udaasi k kinaaron per

Kabhi veeraan sheyhron mein

Kabhi sunsaan raston per

Kabhi hairaan aankhon mein

Kabhi be-jaan lamhon per

Tumhaari yaad chupkey se

Koi sargoshi kerti hai

Yeh palkain bheeg jaati hain

To aansu toot girtey hain

Hum palkon ko jhukatay hain

Ba-zaahir muskuratey hain

Faqat itna hi kehtay hain

Mujhey kitna satatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho...!