Apne pyar ko chupana

Apne pyar ko chupana
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
  

Jun, 04 2010     152 chars (1 sms)     3788 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main jo bikhroon to sath na rukna warna,,,,

ungliyan dard karen gi mujhey chuntey chuntey
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Mainey kaha woh ajnabi hai

Dil ne kaha ye dil ke lagi hai

Mene kaha woh sapna hai

Dil ne kaha phir b apna hai

Mene kaha woh do pal ke mulakat hai

Dil ne kaha woh sadiyo ka sath hai

Mene kaha woh mere Haar hai

Dil ne kaha ise ka naam to "PYAR" hai
"Khud ko khud ki khabar na lage,

koi achha b is kadar na lage,

aap ko dekha hai bas us nazar se,

jis nazar se aap ko nazar na lage
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
bhoole rastoon pe jana zaroori nahi

ab us ko aazmana zaroori nahi
ik ishara hi kafi hey us ne kaha


dastanein sunana zaroori nahi
uski batein keh tehreer hon


reat per
saad un ko mitana zaroori nah
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi,
teri kahi hui har baat yaad aayegi,
Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..
Par kuch kami isme bhi to reh jayegi.
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi.
har lamha teri yaad aa aayegi,
tum dubara anay ka taqlaf mat kerna
hum aik muhabat ko do bar nahee kertay
Roe is qadar wo meri laash sa lipth ker faraz...

agar is bat ka pata hota to kab ka mar gaye hotay..

Khatam hoga jab ZiNDAGi ka safar dekhna,
TANHA reh jaogy phir tum dekhna,

ZiNDAGi me nahi koi mukaam apna,
Baad marne k hogi qadar dekhna,

Mujhe ab koi kali bhi nahi deta,
Par PHOOLON se mehke gi qabar meri dekhna,

TANHA hi ZiNDAGi mein chal raha ho,
Janaze me hoga saara shehr dekhna,

Jo ab haalat par meri muskurate hain,
Pareshaan honge unke chehre B dekhna,

Kuch k sache kuch k jhote aansu honge,
Kitna ajeeb hoga wo manzar dekhna... /
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.