Tamanna koi bhi mere

Tamanna koi bhi mere
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
  

Jun, 04 2010     167 chars (2 sms)     4902 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere hathon ki lakroon ka shakan ko bi afsos hai.

ek shakhs teri qismat tha per wo tera kase na hua?
wo mujhe yaad kr k sota hy.....

aus ko lgta hy khud se dr kitna...!
itney mukhlas B nA Ho k pachtAnA ParhAy



kuch Log iklAAs ko B thukrA DaitAy Hain.
hr bichra howa panchi isi umeed pe aagaz-e-subah krta hy"mohsin"

k qismt mila dy gi ham-nsheen sy mujh ko groob-e-aftab sy pehly..!
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein
Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi
Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare
Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath
Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto
Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste
Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki.
WO Saath Mere Behta Hua tha
Per Kisi Aur Ke Kareeb Tha
Wo Apna Sa lagne Wala
Kisi Aur Ka Naseeb Tha
Ta''aluq Torta Hoon Tou
Mukamal Tor Deta Hoon

Jissey Main Chorh Deta Hon
Mukammal Chorh Deta Hoon

Mohabbat Ho K Nafrat Ho
Bhara Rehta Hoon Shiddat Se

Jidhar Se Aaye Ye Darya
Udhar Hii Mor Deta Hoon

Yaqeen Rkhta Nahi Ho Main
Kisi Kachey Ta''aluq Per

Jo Dhaag Tootne Wala Ho
Usey Khud Tor Deta Hoon
Kitne zalim hai mere khuwab..
Jana
us se milne k lye mujhe sone nai dte
Koi Aaa kar Hath mera tham ley
Mujhe Tanhaiyon se dar lagta hey

Koi apna keh kar mera nam le
Mujhe harjaiyon se dar lagta hey

Sama jaye koi mere wajud mai
Mujhe Judaiyon se dar lagta hey

Mohabbat mai doob jaon mai B
Mujhe Gehraiyon se dar lagta hey

Kar lon barbad zindagi apni
Mujhe tabahiyon se dar lagta hey

Dil tu chahe apna lon tujhe
Mujhe Bewafaiyon se dar lagta hey
kisi k chord jane par use sanbhala tha humne bhi ek shakhs ko..

jub izhaar kua us se apni muhabat ka injaan ban gaya wo..
Tere hath se mere hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Ussay naptay, Ussay kat'tay
Meri sari Umar guzar gye