"Yaar ne dil ka haal

"Yaar ne dil ka haal
"Yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."
  

Jun, 05 2010     167 chars (2 sms)     4475 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jab tu saath na hoti tab yaaddein hoti hai tere saath mere,
Mera harpal tere ek lamhe ke saath judaa hai,
Dhadkan thi meri par dhadakta ussmein naam tha tera.
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhain ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhain ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhain,
Woh Hum Se Baat Nahi Kartey , Tu Na Karey ,
Haal Sara Unkey Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhain,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhain,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein , Basa Deti Hain Aankhain,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Key Rastey ,
Magar Kabhi Kabhar , Neend , Ura Deti Hain Aankhain,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham , Sarey Dil Key , Chupa Deti Hain Aankhain
Aashiyaan Banane ka Apko mauka to milA

hum ny Jb B dewaar Uthayi,toofanoo ka Tohfa he miLa
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain
NA SAATHI HAI KOI NA SAHARA HAI KOI
NA HUM HAI KISI KE NA HAMARA HAI KOI
MAGAR ITNA TO KEH SAKTE HAI AAP KO DEKH KE
EK PYARA SA DOST HAMARA HAI KOI
kiya mila use mire dunya ujar kar
woh bhi tanha phir raha hai mujhe tanha chor kar
Mohabbat Bhi Hoti Hy Zarurat
K Paish-E-Nazar

Ab Ek Nazar Mein Lutt Jane Ka
Zamana Nahi Raha ... !!
Hum chalay jayen to hum ko na bhulana yaro
Aiwan e dil main meri yaad ko sajana yaro
Mana k hum main na thee koi baat ajab si
Meray junoon, meri wafa ko he sarahna yaro

Meri wafaon ki toseef k wastay
Meray khoon e dil say likh sabaq dohrana yaro
Shayad isi tarah zinda rahoon tumhari yadon, tuhari baton main
Meri ghazlon, meray sheron ko gungunana yaro

Yaad aa jaye maah o saal main ik baar jo meri
Meray mazaar pe ik nanha sa diya jalana yaro
Chand phool aur meri dua e maghfirat k
Daba ker qabr main mujh ko na bhool jana yaro
bad-naseebi ka mein qaa''il toh nahin hun, lekin



mein ne barsaat me jalte hue ghar dekhe hain.......
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
"Pehle Nazar Main"
Hai Na Hayrat Ke Baat!
Kay Kese Ko Dil Danay Ka
Itna Bara.....
Orr AAham Faisla
Amoman.....
Pal Bhar Main Ho Jata Hai
Na khabar koi na paigham aaya hai,

jo chaha nahi tha wohi anjam aaya hai,

Kia hum ko bhula bethe ho dost,

Aaj na koi 'DUA' na"SALAM"aaya hy.