Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Ho chuki hai raat bahot ab so bhi jaayeye
Jo hai dil ke kareeb uske kahayalon mein bhi kho jaayeye
Kar raha hoga koi intezaar aapka
Khawabon mein hi sahi mil to aayeye
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein