Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
  

Jun, 01 2010     356 chars (3 sms)     17023 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kiya Tum Bhi

Kiya Tum Bhi
Aansoo Rokny Ki Koshish Mein
Palkyn Teez Teez Jhapakty Ho
Aur
Kesi Sandesey Ki Aas Mein Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
Kiya Tum Bhi
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey
Aur
Door Kahin Bajny Waly Almiyaan
Saaz Ki Aawaz Sey
Aafsurda Ho Jaty Ho
is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Tanhai mere kaan me kuch kehne lagi he,

Ek zaat meri zaat me gum rehne lagi he,

Jisko Aankh ko kisi ne b rote nhi dekha,

Wo Aakh teri yad me num rehny lagi hai.>
Hum ne dekha tha faqat Shauq-e-nazar ki khatir...

Ye na Socha tha ka tum dil mein utar jao gay..
Bikhri hai kuch iss tarah mohabbat usey kehna
aankho mein utar aaye hai wehsat usey kehna
kehna k tere baad se G lagta nahi hai
Be chain si rehti hai tabiyat usey kehna
aankho se wazu ker k yeh khamosh aankahin
kerti hain teri roz ibadat usey kehna
yeh soch k badnam na ho jaon kisi din
ker li hai tere shehar se hijrat usey kehna
mehki hai phir mere aangan mein raat ki rani
Jagi hai tere qarb ki harat usey
Ye mausam b kitna pyara hai,

karti ye hawae kuch ishara hai.

Zara samjho in k jazbato ko,

Ye keh rahi hai kisi Dost ne

DIL SE apko pukara hai.
Aay to yun k jasy samandr se the ''Mahrban''

Bhulay to yun k go''yaa kabhi Aashna na the!
Na Lafz Itne Qadd-aawer
Na Tujh Si Koi Shey ...



Bayaan Kis Tarah Kerta
Tujhy Misaal Se Main ... !!
Door hi sahi,
kinara to hai,

timtimata hi sahi,
sitara to hai..

Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli…
tinka hi sahi.. Sahara to hai..
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Youn Baghoon Main Wo Chah Jati
Phir Choti Phirti Pholoon Ko
Youn Rang Wo Apna Bikhrati

Es Haray Bharay Gulshan Ko Wo
Youn Apnain Rang Say Chamkati
Nadani Thee Us Ki Apni
Oroon Kay Hath Na Aati

Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..