Tere qareb aa kay bari uljhano

Tere qareb aa kay bari uljhano
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
  

Jun, 01 2010     379 chars (3 sms)     2907 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin
Main Na Hoon Ga Tou
Meri Yaad Ki
Baarish Ho Gi

Ek Pal Bhi Tujhey
Tanha Na Chorho''n
Ga !!!
Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
DARD ko peena seekh lea hay
ab chup rehna seekh lea hay

Mohubbat ko chupa kr main ney
abb khussh rehna seekh lea hay"
Hum sirf tujh hi ko chahte hain,

Ye baat b aaj batatain hain,

To marte marte jeta hai,

Hum jete ji mar jate hain,

Ro parta hai sun kar wo,

Jise Dil ka haal sunate hain,

Jab lagti hai Dil ko choot,

Tab ja kar Gazal banate hain..
Qurbat K Saaye Main Hy
Mohabbat Chupi Hui

Tu Kitna Dil K Paas Hy
Ye Duur Ja k Dekh ... !!
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe Pechaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni Jaan Kese Doon . . . ;->
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Chand Per Behta Pani..??

MAiNe Dekha Hai Ye Manzar Apna Moun Dhotay Howe... ;->
Ik nazar dekhna un ka tu ye khasa ho ga,
Jane kab tak ke liye mera assasa ho ga,
Khak kar de gi usse hud main jala kar ye to,
Iss Muhabbat ka yahan jo bhi pyasa ho ga,
dey ke umeed-e-Muhabbat wo mujhe bhool gya,
Ye sitam uss ke to nazdik zara sa ho ga,
Apna ye raz-e-Muhabbat tujhe phir don ga bta,
Jab kabhi yar to hum se bhi shnasa ho ga,
Iss tarha kar don Amad apni Muhabbat ko bayan,
Mera har shair mere gham ka hulasa ho ga...(Amad Ali)