Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana
Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana
Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana
Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana
Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana
Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana