Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!