Kabhi apne dil se bhi

Kabhi apne dil se bhi
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
  

Jun, 04 2010     167 chars (2 sms)     2840 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dooriyan buhat hain par itna samajh lo

Pass reh kar bhe koi rishta khaas nahin hota

Tum dil ke pass itnay ho ke

Doorion ka ahsaas nahin hota
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Ae Chaand Usay Keha
Wo Jo Bohat Duur Basta Hy
Usay Koi Yaad Kerta Hy
Aur
Behisab Kerta Hy
Usay Kehna
Jab Wo Kisi Aur k Sung Hansta Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ka
Dil Dharakta Hy
Aur
Jab Wo Udas Hota Hy
Pas Na Us K Koi
Gham Shanaas Hota Hy
Tou Phir Duur Bohat Duur Kisi Ki
Aankho''n Se
Lahu Barasta Hy
Ae Chaand Usay Kehna
Jisay Wo Chorh Aaya Tha
Jisay Wo Torr Aaya Tha
Wo Aaj Bhi Tere Aas Pass
Basta Hy
hum bhi khardny nakle thy wafa husan k bazar main.

nalane kesa bazar tha k wafa k bahhao bara daye.
Suno jaanaa''n!
Suno jaanaa''n!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta...
K...........
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi....
Tum agar jago?
Ye chahat ka hasee''n aik bojh,
Aadha hi sahi....
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo...
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarary...
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iss baar-e- muhabbat ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????
Sab kuch hai Pr dil ki dawa nahi

Dur mujhse hai Pr mein khafa nahi

Malum hai ab bhi chahti hai mujhko

Vo thodi ziddi hai Pr bewafa nahi.!
Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
kis qadar haseen, kitni shokh lakin bey''wafa
main nay poocha kaun,woh ghabra k boley ZINDAGI
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON CHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON
Raat Bhi Gahri Thi Hum Daar Bhi Sakte They

Hum Jo Kahtey They Kar Bhi Saktey They

Who Jo Bichra To Yeh Bhi Nahi Socha

Hum To Pagal They Maar Bhi Saktey They!!