Ek Doje K Ho Jain Hamein Aisi Haseen Ek

Ek Doje K Ho Jain Hamein Aisi Haseen Ek
Ek Doje K Ho Jain Hamein Aisi Haseen Ek Raat Chahiye"

Jese Phool Se Juda Hoti Nahi Khushbu"

Mujhe Aisa Tera Saath Chahiye"

Mere Liye Na Sahi Zamane K Liye Sahi"

Mere Haathon Me Hona Tera Haath Chahiye"

Dil Se Mil Jai Dil Sada K Liye"

Han Aisi Hi Haseen Mulaqat Chahiye"

Raat To Aati Hai Har Subha K Baad"

Raat Me Bhi Honi Kuch Baat Chahiye"

Zabardasti Ka Pyar Bhala Kis Kaam Ka"

Tera Pyar Mujhe Dil Se Din Raat Chahiye" ..
  

Jun, 01 2010     452 chars (3 sms)     3095 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"Na kar byaan un se haal e dil WASI"


"magror sa shaks hai kahin sath na chor de"...
Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon
wqat halat bhol jaty hain
ek ek bat bhol jaty hain
hum ne daikha hai hai log pal bhar main
apni uoqat bhol jaty hain
AjeeB tarah ki judai hai yeh key main is baar

sakooN main hooN buhat Be-qarar ho kar bhe. . . . .!
na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
apny ghar ki tareekiyon ko kis tarha mitaon,
.
.
.
bohat maghroor hai wo chaand marzi se niklta hai.
''ALI'' Ada he to doulat hy Mah-jabino ki

jo Bay Rukhi Na Kary ,wo Pari JamaL Nahi.....
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
Humain hasrat nahi tumharay in charagon ki,
hum woh hain jinkay dil loo diya kartay hain!
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?
aansoo bhi dil ki aag ko thanda na kar sake

wasi

barish ke bawajod bhi jalta raha makan.