Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Ham rait pe naam kabhi likhte nahi ,
Rait pe likhe naam kabhi tik''te nahi ,
Log hamai pathar dil kehte hain ,
magar ,
Pathar pe likhe naam kabhi mit''te nahi . .
dil ka bazar mian dolat nahi dekhi jati.....
ho jaye pyar toh surat nahi dekhi jati..
ek muskurahat pe do alam ko nichwar kar do......
Maal acha ho toh qeemat nahi dekhi jati.....