Dil Ki dhadkno Ki awaz Suni

Dil Ki dhadkno Ki awaz Suni
Dil Ki dhadkno Ki awaz Suni he maine, Apni Ankho se Koi Baat kahi Hai Maine,
Bus 1 dedar k liye Khud ko sambhale Baithe hai,
Jane Ye ishq Me Kaun c raah Chuni He Maine?
  

Jun, 01 2010     171 chars (2 sms)     9944 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Ek Uski Khushi Mein APni Jaan War Don
Jeti Hui Bazi Ko Ek Pal mein Haar Don
Unki Aankho Mein Aanso Hamse Dekhe Nahi Jate
Je De Usey Gham Uski Duniya Ujar Don
Keun Tum Achy Lagty Ho?
Waqt Mila To,
Sochain Ge !

Tuj Main Asa Kia Dekha Ha . .
Waqt Mila To,
Sochain Ge !

Sara Shehar
Shanasai Ka
Daw''e''dar To Ha Lekin !

Kon Humara Apna Ha?
Waqt Mila To,
Sochain Ge !

Hum Ne Osko Likha Tha.
Kuch Milny Ke Tadbeer Kro !

Osne Likh Kr Bheja Ha,
Waqt Mila To,
Sochen Ge !

Mosam,
Khusbu,
Baad''e''saba.
Chand,
Shafaq,
Or Taaron Main!

Kon Tumhary Jesa
Ha.
Waqt Mila To,
Sochen Ge !
ub tu itbaar hu gaya hai tum ko meri muhabat ka.

malne k laye yun naqaab ord kar aya na karo.
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Ar wo lamha jo tuj sey juda hota hai. Chalti saanon k liye aik saza hoti hai. kaise samjaoon jahan walon ko ahdaab-wafa. Duniya rakoon tho mera ishq kaza hota hai.
Nata torne k bad us ne mange hai daye hue tohfe.

wo sub kuch le gaya sawye yaadon k...
mein jiss mae kadey mein pahuncha khuda khuda kar k,

Nikla wahan sey na kissi sey wafa kar k,

aur apa hee mein dushman ho gaya,

O bewafa ik tujh sey wafa kar k
Muun Ki Muun Main Baat
Rahey Tou Mann Ko Lagey Rog

Muun Kholai''n Tp Mushkil Ker
Dai''n Jeewan Apna Log ...
Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai
Jo khud pe jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par aamada nahi hotey…/
kaise mien maan loon k koi mera nahi raha...

jab tak khuda ki zaat hai,tanha nahi hoon main.