apni to wo misaal hai jesay

apni to wo misaal hai jesay
apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
  

Jun, 01 2010     95 chars (1 sms)     3602 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Lafz na niklen phir b awaz hoti hai,

Kuch doston ki baat bohat khas hoti hai,

Apse chahe bat ho ya na ho,

Likin apki yaad hamesha dil k pas hoti hai,
Sab kuch hai Pr dil ki dawa nahi

Dur mujhse hai Pr mein khafa nahi

Malum hai ab bhi chahti hai mujhko

Vo thodi ziddi hai Pr bewafa nahi.!
Apki yad ne mujhe fir rula diya,

bahut khush ho ap zalim jisne hame ye sila diya.

Do shabd bhi likhna na ata tha hume,

or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana diya.
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, -
Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, -
Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, -
Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho. -
Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai


Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai


Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai


Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehta hoon kay abb samna na ho tera to acha hai


Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai


Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Us ki Chahat ka Sila Yaad nahi,
Yaad ha Jurm, Saza Yaad nahi
Toor kar hamsafari ka Rishta,
Wo kahan Choor Gae Yaad nahi,
Apnay girnay ka Sabab Yaad to hay,
Kiss Bilandi se gira Yaad nahi,
Yaad ha us ka Bicharna hum ko,
Phir Hamen jo bhi Mila Yaad nahi.
Mujhe kisi k aaney ka itna yakeen tha "SAGAR"


Raat kat gai or main ghar he sajaata raha...!!!
Chooti chooti, pyari- pyari aakhon main dil kho gaya hai,
Lagta hai mujhko to yaar, pyar ho gaya hai.

Ab to uske khayalon main dil kho gaya hai,
Lagta hai mujhko to yaar, pyar ho gaya hai.

Pehle baar jab dekha usko dil main baje sahnai se,
who ja rahi thi barish main kuch simti ghabrai si,

Hawa ke jhonko ne jab uske zulfen hain laharai,
Lagta tha is zameen per koi pari utar hai ayi,

Uske is ada per ye dil kho gaya hai,
Lagta hai mujhko to yaar pyar ho gaya hai..
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...