Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Meri Sari yadain aur Arman bas Aap ho,
Main to Jana kuch nahi Pehchan bas Aap ho,
Ge sakta hi nahi jis ke bin tera Amad,
Dil ki dharkan aur meri Jaan bas Aap ho.