Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi
Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Qareeb Aa Ker Wo Hi Dil Ka Sheher Luut Gaye

Kahan Kahan Se Samaite Ga Wo Humain Mohsin

K Hum Tou Aaeney Ki Trha Tuut Phoot Gaye ...
  

Jun, 01 2010     184 chars (2 sms)     2796 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

MANZILAIN BHI USKI THI,
RASTA BHI USKA THA.
EK MAIN AKELI THI, KAFILA BHI USKA THA..
SATH-SATH CHALNE KI SOCH BHI USKA THA,
PHIR RAASTA BADALNE KA FAISLA BHI USKA THA...
AAJ KYUN AKELI HOON, DIL SAWAL KARTA HAI,
LOG TO USKE THE, KYA KHUDA BHI USKA THA....
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
Mujhe Udas
Daikh Kar
Us Ne Kaha
Mere H0te H0we
Tumhen K0i Dukh Nahi Day Sakta
Phir Aisa Hi H0wa
Baad Me Jitne Dukh Miley Sab Usi K Thay...
mein is se barh kar zabt ki misal kia deta,

woh mujh se lipat kar ro raha tha kisi aur k liye...
Tujhse kuch kehne ko dil karta hai,

Tere pass udh ke aneko dil karta hai,

Dil kehta hai chal laut chale,

Par tere pass rehneko dil karta hai
Mo'azaz ban ke mehfil main adaakari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti aayinaa taari nahi karta

Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jisse main dost keh doon us se ghaddari nahi karta

Yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhari nahi karta

Mujhy mo'Qa shanasi ka hunar ayaa nahi ab tak
Jahan matlab nikaLta ho samajhdari nahi karta.........!!!!!!!!!!!!!
Apni Kharabiyo’n Ko Pas-E-Pusht Daal Kr…

Har Shakhs Keh Raha Hy Zamana Khrab Hy…
Zikar-e-Shab-e-Firaaq Say Wehshat Ussey Bhi Thi..!!
Meri Tarah Kisi Say Muhabat Ussey Bhi Thi...!!
Tumko AIk Talkh Haqeeqat Bhi Bata Dety Hain
Jisko Akser Log Chupa Dety Hain
Tu Ne Girty Huy Paton Ko Dekha Hoga
Apni HEr Sans Wo Tanhai Pe Gawa Dety Hain
Kitna Khoob Sajaty Hain Baharon Mein Sajar Ko
Aur Kari Dhoop Mein APna Aap Jala Dety Hain
Kitny Be-Raham Sajar Hain Naye Paton Ki Khushi Mein
Pely Paton Ko Khizan Mein Gira Dety Hain
Agar hum door ho jayen,
Kahin dunya me kho jayen,
Batao kya karo gy tum?
Hamain dhoondo gy,
Ya phir bhool jao gy?
Hamain awaz do gy,
Ya...
Kisi guzri kahani me,
Hamara naam likh do gy,
Chalo esa hi karna tum,
Badal jana,
Hamain tum bhool hi jana,
Mgar itni guzarish hai,
Hamara zikr jab aye,
Zara sa yad kar lena,
Num aankho se,
Do aansoo hamaray naam k,
Mehfil me rakh dena...
Agar puchay tumhain koi hamara,
To kehna...
IK dost tha maara gya sawan ki jal thal me..
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko
Mere hathon ki lakroon ka shakan ko bi afsos hai.

ek shakhs teri qismat tha per wo tera kase na hua?