Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein Wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
aisay main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay
aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay
Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!
Na Khas Ban Ke Mila Karo.... Na Aam Ban Ke Mila Karo....
Mujhe Meri Tarha Se Tum...... Benaam Ban Ke Mila Karo.......
Mana Ke Ye Faraib Hai ........... Ye Faraib Bhi DilFaraib hai.......
Sehraoun ke Sarab Mein........ Tum Sham ban ke mila karo......
Gar Janchna Ho Dard Ko.......... Gar Dekhna Ho Tarp Ko..........
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo....
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.